Wednesday, December 22, 2010

tum hi nahin ho ham bhi hain

ban kar moum pighalne waale,tum hi nahin ho ham bhi hain
har saaNche mein Dhalne waale,tum hi nahin ho ham bhii hain

kaaNTon bhari iss raah pe chalna mushkil hota hai lekin
ishq ki raah pe chalne waale,tum hi nahiin ho ham bhii hain

jeevan toh ik khel hai lekin pyar toh koyi khel nahin
gir kar yaar sambhalne waale,tum hi nahin ho ham bhi hain

sholey ban kar aa jaate hain ashk hamaari aankhon mein
gham ki aag ugalney waale,tum, hi nahin ho ham bhi hain

ham bhi ujaala kar lete hain shama jalaa kar yaadon ki
shaam Dhale khud jalne waale,tum hi nahin ho ham bhii hain

kuCh shaamein ab bhii raushan hain dil k aaNgan mein aiy 'azeem'
maazi ke sang chalne waale,tum hi nahin ho ham bhii hai.

No comments:

Post a Comment